Trusted aur untrusted website kaise pata karete hai

Trusted aur untrusted website ka kaise pata kaise lagate hai? :

Namskar dosto aaj mai aap ko bataunga ki kaise pata lagate hai aur kyo jaruri hai ki kaun si website trusted hai ya nahin.


kyo janana jaruri hai humhare liye trusted aur untrusted website ka pata lagana:
            dosto humko is ke baare mai pata bhi hona chahiye kyoki agar hum kisi untrusted website par hote hai to kabhi kabhi humhari niji jaankari kuchch galat logo ke hath mai lag jaati hai jisase humhara bhahut nuksan ho jaata hai jaise maan lijiye aap kisi ke liye paise bhejate hai aur aap ne kisi website mai login karte samay galat keyword use kiya aur aap kisi galat site par chale gaye aur aap ko pata bhi nahin hai ki yah website trusted hai ke nahin . kyoki aaj kal aisi bahut si website hai jo aap ke kam karne ,paisa bhejane ya aapke niji jankari dene ki website se milati julati hoti hai aur aapne us par pratikriya ki to aap ke paise koi aur nikal sakta hai 
         jaise maan lo aap ko bank of baroda se paisa bhejana hai to aap ko bank of baroda ki website par jaana hoga .bank of baroda ki paise bhejane ki website hai  https://www.bobibanking.com lekin aap ne galat keyword use kiya wwv.babibanking.uk.com aur aap kisi aur website par chale gaye aur  us ke magane paraap ne apna net banking ka login ID, password aur OTP (one time password) daal diya to wo website jiski bhi hai wo aap ki jiwan bhar ki kamaai ko nikal sakta hai. to dosto aap ko pata hona chahiye ki kaun si website trusted hai ya untrusted 

kaise pata lagate hai ki kaun si website trusted hai ya untrusted: 
       
      dosto  trusted website ka pata lagana bahut hi aasan hai aap kuch point par najar rakh kar jaan sakte hai ki yah website trusted hai ke nahin.maan lo aap ne apne browser mai kisi website ka URL daala 
        jaise- www.bobibanking.com ki site open ki to aap ke browser ke search baar mai https://www.bobibanking.com dikhai dega to ye ek trusted website hai

 aur agar aap ne kisi untruste site par hai to usame aapko usase milati julati website ki URL 
 jaise- wwv.babibanking.uk.com
                         YA JAISE
            http:wwv.babibanking.uk.com  dikhai dega.
    lekin is par aap ko dhyan kahan dena hai wo mai aap ko batata hun.

trusted website:

       https://www.babibanking.com  mai jo aapko https dikhaai de raha hai is mai jo ( S ) hai wo trusted website ke hone ka praman hai . is mai ( S ) ka matalav hota hai security aur trsted website ke URL mai hamesa taale yaani lock ka nishan hoga. taale yaani  lock par click kar ke aap pata laga sakte hai us website ke trusted hone ke proof ka.

untrusted website:

jaise- wwv.babybanking.mh.com
                         YA JAISE 
          http:wwv.babybanking.gj.com 
    ye website untrusted hai in mai aapko na to ( S ) matalav security aur na hi tala yaani lock ka nishan dikhaai dega.
   to dosto aap in point ko dhyan mai rakh kar jaan sakate hai ki kaun si website trusted hai ya nahi.
   dosto aap komeri ye post kaisi lagi aap mujhe comment kar ke jarur bataye. aur humhare facebook page ko like karna bhule. 
        MERI POST KO PADHNE KE LIYE DHANYAVAAD !      

Post a Comment

Distributed by Gooyaabi Templates | Designed by OddThemes